Ab kyun us din ka zikar karo
Jab dil tukre ho jaye ga
Aur saare gham mitt jaayein ge
Jo kuch paaya kho jaaye ga
Jo mill na saka woh paayein ge

Yay din to wohee pehla din hai
Jo pehla din tha chahat ka
Hum jis ki tamanna karte rahe
Aur jis se har dum darte rahe

Yay din to kitni baar aaya
So baar basay aur ujar gayay
So baar luttay aur phir paaya
Ab kyun us din ki fiqar karo

Jab dil tukre ho jaaye ga
Aur saare gham mitt jaayein ge
Tum khauf-o-khatter se dar guzro
Jo hona hai so hona hai
Gar hansna hai to hansna hai
Gar rona hai to rona hai
Tum apni karni kar guzzro
Jo hoga dekha jaaye ga.

Faiz Ahmed Faiz